sitare sab mere mahtab mere abhi mat tutna ai khwab mere abhi udna hai mujh ko aasman tak hue jate hain par betab mere main thak kar gir gaya tuta nahin hun bahut mazbut hain aasab mere tere aane pe bhi baad-e-bahaari gulistan kyun nahin shadab mere bahut hi shad rahta tha main jin mein wo lamhe ho gae nayab mere abhi aankhon mein tughyani nahin hai abhi aae nahin sailab mere samundar mein hua tufan barpa safine aae zer-e-ab mere tu ab ke bhi nahin duba 'shanawar' bahut hairan hain ahbab mere