ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain

ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain
har waqt unhi ke jalwon se iman ka sauda karte hain

hum ahl-e-junun mein bas yahi mearaj-e-ibaadat hai apni
milta hai jab un ka naqsh-e-qadam hum shukr ka sajda karte hain

milte hain nazar hosh udte hain masti bhi barasne lagti hai
malum nahin wo kaun si mai aankhon se pilaya karte hain

pate hain wahi maqsud-e-nazar milti hai unhen manzil un ki
jo un ki tamanna mein har dam khud apni tamanna karte hain

hai shauq yahi mastanon ko hai sharm yahi diwanon ko
sine se laga kar yaad us ki us shokh ki puja karte hain

mayus na ho nadan na ban dil soz-e-alam se jalne de
jo chahne wale hain un ke wo aag se khela karte hain

hum kis ke hue dil kis ne liya wo kaun hai kya hai kya kahiye
ye raaz abhi tak khul na saka hum kis ki tamanna karte hain

maikhana-e-hasti mein hum ne ye rang naya dekha saqi
jin baada-kashon ko hosh nahin wo hosh ka dawa karte hain

ye kaisi jafaen hoti hain ye kaisi ada hai un ki 'fana'
hum husn ka parda rakhte hain wo ishq ka dawa karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close