siyahi dhup mein hai baat kya hai agar ye subh hai to raat kya hai hasin ho chand kitna bhi par us ki tumhaare samne auqat kya hai khade hain hath mein kashkol le kar nahin malum ki khairaat kya hai jhatakiye to zara zulfen ye bhigi ye dil puchhe hai ki barsat kya hai hai jita dil ko bazi haar kar bhi mohabbat hai to shah aur mat kya hai mohabbat ke mohalle se hun aaya na puchho mujh se meri zat kya hai