sochon ke hathon ka gahna tut gaya lafzon se lafzon ka rishta tut gaya waqt ne ninden chhin lin meri aankhon se tu tha jis ki jaan wo sapna tut gaya us ne bas ek phul chaman mein toda tha mere andar jaane kya kya tut gaya ab ke ganw mein jaana chaha tha lekin aisi hui barsat ki rasta tut gaya waqt se loha lena aasan kaam na tha is koshish mein hath hamara tut gaya hum khud us se tark-e-talluq kar baithe jhuta sachcha har ek wada tut gaya kya batlaun kaun sa tha bazar 'khalish' jis mein mere dil ka jhumka tut gaya