sochta hun sada main zamin par agar kuchh kabhi banTta

sochta hun sada main zamin par agar kuchh kabhi bantta
to andheron ke nazdik jata unhen raushni bantta

tere hote hue hum tujhe dhundte phir rahe the aziz
kash tu har ghadi har jagah hum se maujudgi bantta

khaliqa mujh ko malum hota agar aakhiri mod hai
main bichhadte hue sare kirdar ko zindagi bantta

waqt ne bediyan dal rakkhi thin panw mein warna to main
shahr ki sari galiyon ko har waqt aawargi bantta

mere bhai agar darmiyan apne diwar uthti nahin
tera dukh bantta aur tujh se main apni khushi bantta

mujh ko kamre ki diwar khidki calender samajhte the bas
aur koi nahin jin se main apni afsurdagi bantta

jo aziyyat ke khane mein ab rakh rahe hain mohabbat ko kash
ishq hone se pahle unhen 'mir' ki shairi bantta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close