dil-e-shikasta bhi tha koi raazdan bhi na tha wo mehrban sahi par itna mehrban bhi na tha riwayaton ke tilismat tod kar ye khula gham-e-zamana koi jaur-e-asman bhi na tha muamalat gham-e-dosti salamat-bash wo e'tibar ki andesha-e-guman bhi na tha zamana-saz kabhi taba-e-mah-rukhan bhi na thi ki is mizaj ka andaz-e-dil-baran bhi na tha mohabbaton ke qarine badal gae aakhir main is ke dar pe jo pahuncha to pasban bhi na tha tamam shahr pe tari hai kaisa sannata sukut-e-subh mein aawaza-e-azan bhi na tha