su-e-maqtal ki pae sair-e-chaman jate hain ahl-e-dil jam-ba-kaf sar-ba-kafan jate hain aa gai fasl-e-junun kuchh to karo diwano abr sahra ki taraf saya-fagan jate hain us ko dekha nahin tum ne ki yahi kucha o rah shakh-e-gul shokhi-e-raftar se ban jate hain wo agar baat na puchhe to karen kya hum bhi aap hi ruthte hain aap hi man jate hain bulbulo apni nawa faiz hai un aankhon ka jin se hum sikhne andaz-e-sukhan jate hain jo thaharti to zara chalte saba ke hamrah yun bhi hum roz kahan su-e-chaman jate hain lut gaya qafila-e-ahl-e-junun bhi shayad log hathon mein liye tar-e-rasan jate hain rok sakta hamein zindan-e-bala kya 'majruh' hum to aawaz hain diwar se chhan jate hain