subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai ab tere shahr mein haalat ki surat kya hai ek aazar dhadakta hai yahan sine mein ab tujhe kaise bataen ki mohabbat kya hai hukm deta hai to aawaz laraz jati hai jaane ab ke mere salar ki niyyat kya hai ye jo main ped ugane mein laga rahta hun main samajhta hun meri pahli zarurat kya hai mera to ye hai ki main bikhra hua hun ab tak tu bata mujh se bichhad kar teri haalat kya hai aankh mein udti hui dhul bata deti hai dil mein aae hue bhaunchaal ki shiddat kya hai lamha lamha main khincha jata hun us ki jaanib jaane us mitti se 'azhar' meri nisbat kya hai