subh tak main sochta hun sham se ji raha hai kaun mere nam se shahr mein sach bolta phirta hun main log khaif hain mere anjam se raat bhar jagega chauki-dar ek aur sab so jaenge aaram se sau baras ka ho gaya mera mazar ab nawaza jaun ga inam se sath launga thakan be-kar ki ghar se bahar ja raha hun kaam se nam le us ka safar aaghaz kar dur rakh dil ko zara auham se zindagi ki daud mein pichhe na tha rah gaya wo sirf do ek gam se