sujhi tadbir na kuchh ranj-o-bala se pahle

sujhi tadbir na kuchh ranj-o-bala se pahle
zindagi chhod gai sath qaza se pahle

ye sulagta hua iflas ka chadhta suraj
mar dale na kahin garm hawa se pahle

aasman par bhi pahunchna koi dushwar nahin
chahiye dil mein tadap harf-e-dua se pahle

rakh ke dher tumhein is ki gawahi denge
mujh ko apnon ne jalaya chita se pahle

pyar ka nam bhi badnam ho jae 'asar'
tum bujha do ye diya tez hawa se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close