sukhan ko tul na de apni ehtiyaj bata utha na dil ki koi baat kal pe aaj bata khada hun dar pe sarasimgi ke aalam mein wo mujh se puchh raha hai ki kaam-kaj bata mufahamat meri koshish supurdagi tera kaam tu apne shahr-e-junun ka mujhe riwaj bata khud apne hath se apni uda chuka hun khak ab aur kya ho mukafat-e-ehtijaj bata kitab-e-dil ko main tartib de raha hun phir hawa-e-taza hai kaisa tera mizaj bata wo gah shoala hai 'sahba' to gah shabnam hai kahin pe dekha hai aisa bhi imtizaj bata