sukun-e-qalb ke asbab hum pe band rahe

sukun-e-qalb ke asbab hum pe band rahe
magar hum ahl-e-mohabbat wafa-pasand rahe

qadam qadam pe sajae gae the dar-o-rasan
khuda ka shukr ki hum phir bhi sar-buland rahe

wo ek hamein the jo sharminda-e-karam na hue
wo nang-e-ishq the jo iltija-pasand rahe

tere sitam ne mere dil ko hausla bakhsha
khuda kare ki tera hausla buland rahe

zaban se taqat-e-guftar chhinne walo
tumhin batao ki kab tak zaban band rahe

jo aashna-e-faza-e-falak the ai 'mahir'
wo khizr bhi to meri gard-e-pa mein band rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close