sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar lifafa phad diya phir tera pata likh kar samajh mein ye nahin aata khitab kaise karun huruf kat diye main ne bar-ha likh kar qalam ne toka bhi dil ki sada ne roka bhi magar jo us ne kaha main ne de diya likh kar hujum-e-gham mein zaban sath jab na de pai jo haal dil ka tha main ne suna diya likh kar ab us ki bai hai ab ikhtiyar us ka hai kahin ka main na raha us ko bewafa likh kar bhala sa koi bhi ek nam us ka rakh lena par us ke nam ko aankhon se chumna likh kar main apni hasrat-e-dil ka hisab kaise dun ye dher main ne lagaya zara zara likh kar mujhe to apne liye rasta tarashna hai main kya karunga kisi ka likha hua likh kar mili hai us ke sabab itni raushni 'shahzad' bujha diye kai suraj use diya likh kar