sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan dhup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gai jaanan bhor samay tak jis ne hamein baham uljhae rakkha wo albeli resham aisi baat guzar gai jaanan sada ki dekhi raat hamein is bar mili to chupke se khali baat pe rakh ke kya saughat guzar gai jaanan kis konpal ki aas mein ab tak waise hi sarsabz ho tum ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai jaanan log na jaane kin raaton ki muraden manga karte hain apni raat to wo jo tere sat guzar gai jaanan ab to faqat sayyaad ki dildari ka bahana hai warna hum ko dam mein lane wali ghat guzar gai jaanan