talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar samajh ke kah baat be-murawwat sawal digar jawab digar kalam tujh se hai aur apna sukhan ko hum tere kyunki jaanen zara ye khulti nahin haqiqat sawal digar jawab digar main apne matlab ki kah raha hun wo aaina-ru ek aib mein hai bhala ho milne ki khak surat sawal digar jawab digar agar kahun main sanwaro zulfen to wo bigadte hain de ke gali ajab nasibon ki kuchh hai shamat sawal digar jawab digar mera to paigham wasl ka hai tumhaari taqrir hijr ki hai butan hai ye bhi khuda ki qudrat sawal digar jawab digar kaha jo main ne ki do mera dil to bole hans kar kidhar hai dili kahun to kya aur un ko rahmat sawal digar jawab digar