sunsan raston pe teri yaad ne kaha haalat ka fareb bhi kitna hasin tha ab ke bhi dard-mand bahaaron ne ja-ba-ja phulon ki takhtiyon pe tera nam likh diya raat ek ajnabi ki tarah ghumti rahi din ek falsafi ki tarah sochta raha har tirgi ne mujh se ujalon ki baat ki har zahar ittifaq se tiryak bin gaya chamka rahi hai gham ke andheron ko dur tak kirnon ki sidhiyon se utarti hui sada yun dal ke aas pas hai khwabon ki raushni jaise kisi gali mein daricha ho nim wa 'jami' jo zindagi se ziyaada aziz the in ko bhi zindagi ki tarah bhulna pada