tumhaare dard ko suraj kaha hai

tumhaare dard ko suraj kaha hai
naya uslub ghazlon ko diya hai

sahar ke raste mein sar uthae
andheron ka wahi parbat khada hai

bahut kuchh jo kitabon mein nahin tha
wo chehron ki lakiron mein padha hai

koi wahshat-zada zakhmi irada
tabassum ban ke lahraata raha hai

batao nam bhi hai kuchh tumhaara
mera saya mujhi se puchhta hai

mujhe apna samajh kar zindagi ne
khud apne aap ko dhoka diya hai

dar-o-diwar se har roz 'jami'
wahi be-rang afsana suna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close