surKHi badan mein rang-e-wafa ki thi kuchh dinon

surkhi badan mein rang-e-wafa ki thi kuchh dinon
tasir ye bhi us ki dua ki thi kuchh dinon

dhunde se us ke naqsh ulajhte the aur bhi
haalat tamam karb-o-bala ki thi kuchh dinon

kaghaz pe tha likha hua har harf-e-lab-kusha
tahrir jism-e-saut-o-sada ki thi kuchh dinon

shakhon pe konpalon ko zabanen ata huin
ye dilbari bhi dast-e-saba ki thi kuchh dinon

dil-sozi-e-wafa ko shakebai ki ata
shaistagi ye rang-e-hina ki thi kuchh dinon

ab hai kuduraton ka khula dasht aur main
chahat tamam teri raza ki thi kuchh dinon

kaifiyat-e-nashat thi khud hi se guftugu
'nahid' ye rida bhi haya ki thi kuchh dinon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close