surKHiyan paDh ke in aKHbaron ki Dar lagta hai

surkhiyan padh ke in akhbaron ki dar lagta hai
sara aalam kisi barud ka ghar lagta hai

baith jaengi ye diwaren kisi bhi lamha
apne ghar mein bhi to rahte hue dar lagta hai

apne hamsae ke haalat hain apne jaise
apne hi ghar ki tarah un ka bhi ghar lagta hai

aaj bhi hath ki rekha ko muqaddar samjhen
billiyan kat len raste ko to dar lagta hai

bol ke sach hi adalat mein hui ruswai
ab to sach ye hai hamein sach se bhi dar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close