surur-afza hui aaKHir sharab aahista aahista

surur-afza hui aakhir sharab aahista aahista
hua wo bazm-e-mai mein be-hijab aahista aahista

rukh-e-raushan se yun utthi naqab aahista aahista
ki jaise ho tulu-e-aftab aahista aahista

kiya jab shauq ne us se khitab aahista aahista
haya ne bhi diya aakhir jawab aahista aahista

wo masti-khez nazren rafta rafta le udin mujh ko
kiya kashana-e-dil ko kharab aahista aahista

badha hangama-e-shauq is qadar bazm-e-harifan mein
ki rukhsat ho gaya us ka hijab aahista aahista

kiya kaamil hamein ek umr mein soz-e-mohabbat ne
hue hum aatish-e-gham se kabab aahista aahista

abas tha zabt ka dawa sitam us ke sitam nikle
nigahen ho gain aakhir pur-ab aahista aahista

dabistan-e-wafa mein umr bhar ki safha-gardani
samajh mein aai ulfat ki kitab aahista aahista

ba-qadr-e-shauq use tab-e-tapidan thi kahan qatil
kiya bismil ne tere iztirab aahista aahista

bala hain shahidan-e-shahr 'wahshat' mai-parasti mein
hua main un ki sohbat mein kharab aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close