talKHi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain

talkhi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain
us nargis-e-bimar ke bimar bahut hain

aalam pe hai chhaya hua ek yas ka aalam
yani ki tamanna ke giraftar bahut hain

ek wasl ki tadbir hai ek hijr mein jina
jo kaam ki karne hain wo dushwar bahut hain

wo tera kharidar-e-qadim aaj kahan hai
ye sach hai ki ab tere kharidar bahut hain

mehnat ho musibat ho sitam ho to maza hai
milna tera aasan hai talabgar bahut hain

ushshaq ki parwah nahin khud tujh ko wagarna
ji tujh pe fida karne ko tayyar bahut hain

'wahshat' sukhan o lutf-e-sukhan aur hi shai hai
diwan mein yaron ke to ashaar bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close