ta-ba-kai manzil-ba-manzil hum musafir bhagte

ta-ba-kai manzil-ba-manzil hum musafir bhagte
aankh ab thahri hui hai aur manazir bhagte

ai harif-e-har-qadam shah-mat se bachne ki soch
is bisat-e-khak se kya hum se shatir bhagte

hum to aae hain yahan mitne mitane ke liye
is zamin-e-karbala se kis ki khatir bhagte

bas mein aa jaane ka jazba bas mein karne ki hawas
khak-o-baad-o-ab-o-atish bhi hain qasir bhagte

sar kahin panw kahin aankhen kahin chehra kahin
is hawas mein kho gai pahchan aakhir bhagte

'khair' shab-khun mar kar chhup jaane wale hum nahin
marka sar karne nikle hain to kya phir bhagte

khod lete hain kuan shahdab pa lete hain 'khair'
is zamin-e-sakht se kya hum se shair bhagte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close