taDap ke haal sunaya to aankh bhar aai

tadap ke haal sunaya to aankh bhar aai
jo us ne zakhm dikhaya to aankh bhar aai

thi jis charagh se qaem meri umid-e-sahar
hawa ne us ko bujhaya to aankh bhar aai

zamane-bhar ka sitam sah ke muskuraata raha
fareb apnon se khaya to aankh bhar aai

hamare shahr ki galiyon mein qahr dhate hue
lahu ka sail dar aaya to aankh bhar aai

saba ne aah khizaon ke sath mil kar phir
gulon ka rang udaya to aankh bhar aai

jabin-e-haal pe mazi ki talkh yaadon ne
sunahra naqsh banaya to aankh bhar aai

tamam umr to apnon ki thokaron mein rahe
kisi ne sar pe bithaya to aankh bhar aai

bichhadte waqt kisi ne jo pyar se 'shamsi'
machal ke hath hilaya to aankh bhar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close