zindagi se mili saughat ye tanhai ki

zindagi se mili saughat ye tanhai ki
khwab tute hain kai aankh mein sahrai ki

kyun sar-e-bazm meri us ne pazirai ki
us mein sazish to nahin phir se mere bhai ki

barq manzar se nigahon ki basarat chhine
fikr dushman ko mere hai meri binai ki

log chehre pe udasi ka sabab puchhenge
kya kahunga ki mujhe fikr hai ruswai ki

log bahar se samajhte hain bahut khush hun main
kya khabar un ko mere zakhm ki gahrai ki

main bhi aaunga tujhe dene mubarakbaadi
jab bhi aawaz sununga teri shahnai ki

chhin kar munh se gharibon ke niwale 'shamsi'
hakim-e-waqt ne kya khub masihai ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close