taDapne ki ijazat jazba-e-bismil se milti hai

tadapne ki ijazat jazba-e-bismil se milti hai
jo dil mushtaq ho to phir zara mushkil se milti hai

wo haq sach ki ibarat padhne se mahrum rahte hain
ki jin ko raushni ki lau rukh-e-baatil se milti hai

mujhe zinda jalae tujh ko bhi zinda hi dafnae
mere qatil ki fitrat bhi tere qatil se milti hai

chakori dekh le tu bhul jae chand ko takna
dil-e-muztar ko jo taskin kale til se milti hai

ye donon judwan bhai hain nahin is mein shubh kyunki
mere mansab ki surat bhi mere qatil se milti hai

kisi attar se milna to 'panchhi' hai bahut mushkil
jo dil-awez khushbu husn ki mahfil se milti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close