shab-e-hijran mein dam nikalta hai

shab-e-hijran mein dam nikalta hai
kab payam-e-visal talta hai

dil-e-bimar se hai tang masih
dagh se aaftab jalta hai

be-zari se hun paemal-e-butan
zor kis ka khuda se chalta hai

dil na le ai sanam barae-khuda
is se kuchh ji mera bahalta hai

aatish-e-ishq zulf-e-pechan hai
haddiyon se dhuan nikalta hai

tere hansne pe main jo rota hun
abr manind-e-barq jalta hai

tujh se ai ashk mah-e-furqat ho
rang kya kya falak badalta hai

apne bimar ko na puchh masih
ab koi dam mein dam nikalta hai

dagh ka jism-e-zar se hai farogh
khas se jaise charagh jalta hai

sard ya arsh pa-e-qatil par
lash par wo bhi hath malta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close