taghayyuraat se kab rabt-e-gulsitan na raha

taghayyuraat se kab rabt-e-gulsitan na raha
bahaar aai to kya khatra-e-khizan na raha

jabin jhukai to jannat kharid li jaise
samajh rahe hain ki ab koi imtihan na raha

faza mein gunj rahi hain kahaniyan gham ki
hamin ko hausla-e-sharh-e-dastan na raha

unhen to hashr mein bhi hai khayal-e-ruswai
hamein khushi hai koi parda darmiyan na raha

gham-e-maal gham-e-zindagi gham-e-dauran
hamare ishq ka charcha kahan kahan na raha

hawa palatte hi har zakhm ho gaya taza
bahaar-e-ishq ko andesha-e-khizan na raha

'matin' qadr hui aah kab nasheman ki
chaman mein barq ke laeq jab aashiyan na raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close