chashm-e-tar hai koi sarab nahin

chashm-e-tar hai koi sarab nahin
dard-e-dil ab koi azab nahin

kaise is baat par yaqin kar lun
tu haqiqat hai koi khwab nahin

mausam-e-gul ka zikr rahne de
ye meri baat ka jawab nahin

tu agar gham se ajnabi hai to
haal apna bhi ab kharab nahin

man leta hun main nahin majnun
tera rukh bhi to mahtab nahin

kya karun husn ka tasawwur ab
tere chehre pe jab naqab nahin

der pahchanne mein pal bhar ki
ye koi bais-e-iztirab nahin

umr guzri hai mazarat karte
ghaflaten meri be-hisab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close