takid hai ki dida-e-dil wa kare koi matlab ye hai ki dur se dekha kare koi aate hi tere wada-e-farda ka e'tibar ghabra ke mar na jae to phir kya kare koi wo jalwa be-hijab sahi zid ka kya ilaj jab dil mein rah ke aankh se parda kare koi kahte hain husn hi ki amanat hai dard-e-ishq ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi khali hai bazm-e-zauq-talab ahl-e-hosh se itna nahin ki teri tamanna kare koi wo dard de ki maut bhi jis ki dawa na ho is dil ko maut de jise achchha kare koi 'fani' dua-e-marg ki takrar kya zarur ghafil nahin ki un se taqaza kare koi