tamam taron ko jaise qamar se joDa hai

tamam taron ko jaise qamar se joda hai
meri jabin ko tere sang-e-dar se joda hai

khuda ne khud ko ba-zahir chhupa ke rakkha hai
hamare dil ko na jaane kidhar se joda hai

visal-o-hijr ki tartib ulti rakkhi hai
idhar ka silsila us ne udhar se joda hai

khuda ne sada qalam se banaya hum sab ko
tere wajud ko apne hunar se joda hai

ye chand bhi to tere husn ka bhikari hai
tumhaare husn ko kis ne qamar se joda hai

tamam lazzaten duniya ke dil mein rakkhi hain
khuda ne sukh ko magar apne ghar se joda hai

tamam midhaten waqf-e-ba-nam-e-ahmad hain
tamam zikr ko is tajwar se joda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close