tamir-e-zindagi ko numayan kiya gaya takhrib-e-kaenat ka saman kiya gaya gulshan ki shakh shakh ko viran kiya gaya yun bhi ilaj-e-tangi-e-daman kiya gaya khoe houn pe teri nazar ki nawazishen aaina de ke aur bhi hairan kiya gaya aawargi-e-zulf se aasudgi mili aasudgi mili ki pareshan kiya gaya wo khush-nasib hun ki gham-e-iltifat se mere gham-e-hayat ka darman kiya gaya tanhaiyan bichha ke jahan-e-kharab mein mere liye nigah ka saman kiya gaya phaila ke be-sabaati-e-alam ki dastan mujh par haram kaif-e-bahaaran kiya gaya bhadka ke aatish-e-rukh-e-jaanan ki aarzu mujh ko rahin-e-atish-e-dauran kiya gaya naumidi-e-talab pe chadha ke talab ka rang ummid-e-did-e-dost ko arzan kiya gaya ye bhi karam ki mujh ko shaban-e-siyah mein mamur-e-dil-nawazi-e-hijran kiya gaya jamiyyat-e-jamal ka husn-e-kamal dekh aakhir yahi hua ki pareshan kiya gaya de kar chaman ko bahaar-o-khizan ka rang mere khayal-o-khwab pe ehsan kiya gaya aa aur kaenat ke phulon ki dad de jin se tera jamal numayan kiya gaya