tang-o-mahdud bahut husn-e-nazar tha pahle zulf-o-rukhsar pe mauquf hunar tha pahle aane-jaane ka sarokar kahan se aaya koi jada na musafir na safar tha pahle ab bhi gardish mein meri dhup raha karti hai yahi saya jo udhar hai ye idhar tha pahle dar-o-diwar se aazad bayaban phir ho apne shorida-saron ka yahi ghar tha pahle meri talwar pe hai razm purani likkhi mere khamosh lahu mein bhi bhanwar tha pahle ye tasawwur bhi pala aab-o-hawa mein meri is zamin par na khada aisa shajar tha pahle