tanhai ka gham Dhoen aur ro ro ji halkan karen

tanhai ka gham dhoen aur ro ro ji halkan karen
is se behtar hoga ki wo mashq-e-tir-e-kaman karen

waqt ka rona rone wale waqt ko zae karte hain
palkon se lamhon ki kirchen chunne ka saman karen

sadkon ke chaurahon par jin ko tanhai ghere ho
us simabi duniya mein kyun jine ka arman karen

bahar ki duniya mein jin ko jins-e-wafa nayab lage
apne andar ke but-khanon ko pahle viran karen

suraj ki sat-rangi kirnen pyas bujhane aati hain
saton sakhiyan phul-badan jab ganga mein ashnan karen

jo dharti ki shah-rag katen shiryanon mein zahr bharen
is murakh nagri ke bashi un hi ke gun-gan karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close