tanhai se bachaw ki surat nahin karun

tanhai se bachaw ki surat nahin karun
mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun

su-e-falak hawai safar hai to kya hua
dar jaun mahtab ki surat nahin karun

aankhen hain ya sharab ke saghar bhare hue
pi jaun kya khayal-e-shariat nahin karun

qabze mein un ke shahr-e-tilismat hi sahi
kho jaun kya khuda ki ibaadat nahin karun

jab tai hua ki raushni parwardigar hai
pahlu bachaun us ki itaat nahin karun

bazm-e-sukhan-taraaz mein nakaam hon to kya
chillaun apne fan ki hifazat nahin karun

wo aa gaya 'kamal' ki qimat ke aas-pas
bik jaun apne sach ki hifazat nahin karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close