usne kiya hijab mere dekhne ke baad

us ne kiya hijab mere dekhne ke baad
us ko mila sawab mere dekhne ke baad

surat pe chaar-chand lage the janab ki
ye bhi tha inqalab mere dekhne ke baad

meri nazar se daliyan chhu kar hari huin
khilne lage gulab mere dekhne ke baad

itna main sher-fahm nahin hun magar yahan
chhapte hain intikhab mere dekhne ke baad

khulta hi ja raha hai kisi rukh ke ru-ba-ru
sharm-o-haya ka bab mere dekhne ke baad

pahle nazar utha ke mujhe dekhte bhi the
lekin ye ijtinab mere dekhne ke baad

meri nazar mein dosto shiddat bala ki thi
tuta pada tha khwab mere dekhne ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close