tanhaiyon mein ashk bahane se kya mila

tanhaiyon mein ashk bahane se kya mila
khud ko diya bana ke jalane se kya mila

mujh se bichhad ke ret sa wo bhi bikhar gaya
us jaane wale shakhs ko jaane se kya mila

ab bhi mere wajud mein har sans mein wahi
main sochta hun us ko bhulane se kya mila

tu kya gaya ki dil mera khamosh ho gaya
in dhadkanon ke shor machane se kya mila

apne hi ek dard ka chaara na kar sake
sare jahan ka dard uthane se kya mila

jis ke liye likha use wo to na sun saka
wo git mahfilon ko sunane se kya mila

un ka har ek harf hai dil par likha hua
us dost ke khaton ko jalane se kya mila

socho zara ki tum ne zamane ko kya diya
kyun sochte ho tum ko zamane se kya mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close