tapta hua kisi ke koi aabla na ho ya-rab hamari tarah koi dil-jala na ho teri gali ko chhod ke jae wo phir kahan tere siwa jise koi aur aasra na ho aao na aaj mil ke karen kulfaton ko dur ye kaun jaanta hai ki kal kya ho kya na ho jo chaho kar guzaro tumhein rokta hai kaun ye sach kaha kisi ne ki banda khuda na ho ta-hashr dard-e-dil se rahun lazzat-ashna ya-rab wo dard bakhsh jo mujh se juda na ho mar jae sar na phod kar apna to kya kare wo gham-nasib jis ko koi aasra na ho wo saiqa-badosh chale aa rahe hain aaj manzar ye dil-ruba kahin sabr-azma na ho angdaiyan kisi ki wo phir yaad aa gain phir shorish-e-junun mein koi mubtala na ho phir be-naqab aaj hai wo shahid-e-jamal ghash kha ke koi tur pe dekho gira na ho chingariyan si udti hain pahlu se kyon 'zaki' qalb-o-jigar ko dekho kahin aabla na ho