umr-e-fani ko hayat-e-jawidan samjha tha main thi khizan jis ko bahaar-e-gulistan samjha tha main dam ham-rang-e-zamin hai aur wahi sayyaad bhi apni aahon ko harif-e-asman samjha tha main kis tarah ab kar sake koi kisi par e'timad rahzan the jin ko mir-e-karwan samjha tha main khar ghunche ban gae aur phul angare bane teri duniya ko to ya-rab gulsitan samjha tha main khana-e-dil mein na un se ho saki kuchh raushni dagh-ha-e-dil ko apne kahkashan samjha tha main dast-o-pa ne di shahadat hashr mein mere khilaf zindagi ke sathiyon ko be-zaban samjha tha main ab teri marzi ho jaisi bakhsh de ya de saza teri rahmat ko ilahi be-karan samjha tha main aaj us ko le gai baad-e-saba mahbub tak khak wo meri ki jis ko raegan samjha tha main aalam-e-ghurbat hai main hun aur nahin koi 'zaki' hai haqiqat ab jise wahm-o-guman samjha tha main