taqdir ho kharab to tadbir kya kare hathon mein dam agar nahin shamshir kya kare mujh ko andheron mein hi bhatakna hai umr-bhar jab aankh hi nahin hai to tanwir kya kare aazad ho gaya hai wo duniya ki qaid se us ka bulawa aaya to zanjir kya kare daulat hai mere hath mein dil ko sukun nahin chain aur qarar ke liye jagir kya kare gum ho gaya shikar nigahon ke samne tuti ho jab kaman to phir tir kya kare