taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin aap apna muqaddar ban na sake itna to koi majbur nahin ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahan hum sab mai-kash hum sab saqi tafriq karen insanon mein is bazm ka ye dastur nahin jannat ba-nigah tasnim ba-lab andaz us ke ai shaikh na puchh main jis se mohabbat karta hun insan hai khayali hur nahin wo kaun si subhen hain jin mein bedar nahin afsun tera wo kaun si kali raaten hain jo mere nashe mein chur nahin sunte hain ki kante se gul tak hain rah mein lakhon virane kahta hai magar ye azm-e-junun sahra se gulistan dur nahin 'majruh' uthi hai mauj-e-saba aasar liye tufanon ke har qatra-e-shabnam ban jae ek ju-e-rawan kuchh dur nahin