meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada koi chiz ek jagah se zara kham hai zyaada kisi manzar-e-shafaq ko kahan aankh mein jagah dun mere khun-e-dil se rangin meri sham hai zyaada ghadi-bhar thaharne wale zara ye khayal rakhna ye jo saya-e-shajar hai koi dam hai zyaada mera mashwara yahi hai isi raste se jaana bada saf hai agarche kai gam hai zyaada pade hain bahut se mere abhi kaam na-mukammal koi bojh jate din par sar-e-sham hai zyaada koi jurm dusre ka mera ban gaya hai kaise teri fard-e-jurm mein kyun mera nam hai zyaada kabhi kucha-e-talab mein kabhi rah-e-zar-gari par tera kar-e-husn ab kuchh sar-e-am hai zyaada teri aankh mein jo 'shahin' labaalab bhara hua hai kisi ek taraf se khali wahin jam hai zyaada