taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar

taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar
wa bab-e-ijabat ho ki na ho zanjir hila takhir na kar

gham badhne de ai dil aur zara jaanch aah ki be-tasir na kar
hai khwab adhura aap abhi be-samjhe ghalat tabir na kar

jab zulm ka badla zulm hua mazlum ka haq kuchh bhi na raha
de dard hi mein lazzat yarab nale ko ata tasir na kar

ho lakh kaman kadi qatil kuchh jazb nishane mein bhi hai
bazu ke bal pe nazar kar ke andaza-e-zakhm-e-tir na kar

ab tak jo nigahen sidhi hain mumkin hai kal ye palat jaen
jo karna ho kare aise mein kis soch mein hai takhir na kar

paiman-e-mohabbat khatm hua ab zikr se us ke faeda kya
munh bikhri kadiyon ke na mila tayyar nai zanjir na kar

ulfat ke ahd-e-mohkam mein bude kaghaz ki zamanat kya
ye dil se dil ki baaten hain rakh yaad faqat tahrir na kar

har dil hai hayat ka sarmaya har dil mein josh mohabbat ka
tu 'arzu' aur kahega kya bas rahne bhi de taqrir na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close