tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai

tark-e-mohabbat apni khata ho aisa bhi ho sakta hai
wo ab bhi paband-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai

darwaze par aahat sun kar us ki taraf kyun dhyan gaya
aane wali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai

haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein us ki aansu hain
main ne us se jhut kaha ho aisa bhi ho sakta hai

arz-e-talab par us ki chup se zahir hai inkar magar
shayad wo kuchh soch raha ho aisa bhi ho sakta hai

hadd-e-nazar tak sirf dhuan tha barq pe kyun ilzam rakhen
aatish-e-gul se bagh jala ho aisa bhi ho sakta hai

khun bahana us ka shewa hai to sahi 'manzur' magar
hath pe us ke rang-e-hina ho aisa bhi ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close