tark-e-talluqat ka wada nahin kiya

tark-e-talluqat ka wada nahin kiya
wada agar kiya use pura nahin kiya

ek kaam tha zaruri zaruri tha ek kaam
dil mutmain nahin tha lihaza nahin kiya

jaisi mili hai waisi guzari hai zindagi
hum ne kahin bhi jhuta dikhawa nahin kiya

khud ko kai maqam pe kham to kiya zarur
lekin kisi ke ru-ba-ru sajda nahin kiya

apni bisat se bhi badha kar ke khwahishat
apne dukhon mein aur izafa nahin kiya

dhoka kisi ke sath jo karna pada agar
wo bhi zaruraton se ziyaada nahin kiya

ek bar bargah-e-ilahi mein ki dua
phir us se duji bar taqaza nahin kiya

jis se bhi hai faqat wo usulon ki jang hai
warna kabhi kisi se bhi jhagda nahin kiya

rakht-e-safar mein sab ko barabar kiya sharik
taqsim-e-zad-e-rah anokha nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close