zahr de de na koi ghol ke paimane mein

zahr de de na koi ghol ke paimane mein
ab to ji darta hai khud apne hi maikhane mein

sara mazi meri aankhon mein simat aaya hai
main ne kuchh shahr basa rakkha hain virane mein

be-sabab kaise badal sakta hai rindon ka mizaj
kuchh ghalat log chale aae hain maikhane mein

jam-e-jam se nigah-e-tauba-shikan tak saqi
puri rudad hai tute hue paimane mein

pyas kanton ko bujhata hai lahu se apne
kitni baaligh-nazari hai meri diwane mein

mujh pe tanqid bhi hoti hai to alqab ke sath
kam se kam itna saliqa to hai begane mein

is ko kya kahte hain 'iqbaal' kisi se puchho
dil na ab shahr mein lagta hai na virane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close