tasawwur bandhte hain us ka jab wahshat ke mare hum

tasawwur bandhte hain us ka jab wahshat ke mare hum
to phir karte hain aap hi aap kya kya kuchh ishaare hum

kahe hai yun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida
chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare hum

kai bar us ne dekha aaj chashm-e-qahr se hum ko
saza-war-e-uqubat to hue ai bakht bare hum

na mani dil ne apni aur na hum ne baat naseh ki
hamein kah kah ke haara wo use kah ke haare hum

wo jab aaina dekhe hai to kya kya muskuraata hai
samajh kar ye ki yani hain qayamat pyare pyare hum

mila lutf-e-sukhan kya khak hum ko us ki mahfil mein
ki chup baithe rahe jun naqsh-e-diwar ek kinare hum

hue hain chahne wale tumhaare saikdon paida
ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yan ab bichaare hum

kisi mahwash ke gham ne kar diya na-taqat aisa hi
ki chhutte dekhte hain akasr aankhon aage tare hum

utha kar aankh to tum dekh lo yan koi dekhe hai
zara qurban hone do hamein sadqe tumhaare hum

karen kya aah aur kis se kahen hum apni bechaini
kahin chain ab tere hathon nahin pate hain pyare hum

qarar ek ja nazar aata nahin hai be-qarari mein
gul-e-bazi ki surat phirte hain bas mare mare hum

hamein kya khatra-e-jaan hai ki hum hain nam ko 'jurat'
na hon phir kyun ki maidan-e-mohabbat mein utare hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close