tasawwur se nazare tak farogh-e-sehr-e-hairat hai haqiqat bhi fasana hai fasana bhi haqiqat hai kisi par jaan dena be-niyaz-e-mudda ho kar yahi jazba mere nazdik mearaj-e-mohabbat hai zaban par aa ke jo harf-o-hikayat se guzar jae na jaane kyun wahi baat un se kahne ki zarurat hai sawal uthta nahin koi yahan hadd-e-tayyun ka wahan tak justuju bhi hai jahan tak husn-e-fitrat hai jise aata nahin parwana-e-sham-e-watan hona wo nang-e-admiyat hai adu-e-qaum-o-millat hai hum apni zindagi ki har khushi ko kyun na gham samjhen jo tere gham ka hasil hai usi ka nam rahat hai mazaq-e-zindagi ko hai shuur-e-zindagi lazim wahan jine mein rahat hai jahan marna saadat hai hamare haal ki kya puchhte ho kya bataen hum hamara haal jo kuchh hai tumhaari hi inayat hai dil-e-shaista-e-gham ne laga rakkhi hai sine se hazar un ki nazar ghaarat-gar-e-aram-o-rahat hai 'rishi' nakaam sai-e-justuju hai zauq-e-nazzara nazar aawara fitrat hai jahan jalwon ki kasrat hai