tasawwuraat mein inko bula ke dekh liya

tasawwuraat mein in ko bula ke dekh liya
zamane bhar ki nazar se chhupa ke dekh liya

fasana-e-gham-e-furqat suna ke dekh liya
unhon ne sirf mujhe muskura ke dekh liya

kabhi kisi ne sar-e-tur ja ke dekh liya
kabhi kisi ne kisi ko bula ke dekh liya

nigah-e-parda-kusha ka kamal kya kahna
jahan jahan wo chhupe us ne ja ke dekh liya

kaha tha un ko na bulwao wo na aaenge
hamari baat na mani bula ke dekh liya

ye kis ke waste aansu bahae jate hain
tumhein kisi ne jo us waqt aa ke dekh liya

kisi ne bhi na diya sath marne wale ka
har ek rafiq pe sab kuchh luta ke dekh liya

mizaj-e-husn to ek haal par raha qaem
lutane walon ne sab kuchh luta ke dekh liya

khushi ki baat hai nikli to hasrat-e-didar
karam-nawaz ko sab kuchh luta ke dekh liya

rumuz-e-husn junun-ashna rahe warna
khirad pukarti jalwe khuda ke dekh liya

ghurur-e-husn ki khuddariyan khud aa na saka
shua-e-husn ko markaz pe la ke dekh liya

kabhi na tum ne mizaj-e-dil-e-hazin puchha
bas ab muaf karo aazma ke dekh liya

kahin thikana nahin hum qafas-nasibon ka
chaman mein rah ke nasheman bana ke dekh liya

wafa-shiar wafaon se baz aa na sake
unhon ne khwab unhen aazma ke dekh liya

siwae aap ke koi na ban saka apna
har ek shakhs ko apna bana ke dekh liya

tum aa gae dam-e-akhir bada kiya ehsan
khata muaf jo tum ko bula ke dekh liya

jo dil se aae zaban par wo raaz raaz kahan
jo raazdan the unhen bhi bata ke dekh liya

janaza dekh ke 'wasil' ka ho gae betab
kafan unhon ne bil-akhir hata ke dekh liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close