ye bandagi ka sada ab saman rahe na rahe

ye bandagi ka sada ab saman rahe na rahe
sar-e-niyaz jhuke aastan rahe na rahe

tere khayal mein main hun mere khayal mein tu
mere baghair teri dastan rahe na rahe

kise khabar hai ki har gham mein hai khushi pinhan
gham-e-habib salamat ye jaan rahe na rahe

nigah khamosh takallum ki raazdan hogi
huzur-e-dost ye goya zaban rahe na rahe

hamari lash gulistan mein dafn kar sayyaad
chaman se dur koi nauha-khwan rahe na rahe

wo mujh se is liye kahte hain apne raaz ki baat
ki mere baad koi raazdan rahe na rahe

sada unhon ne anal-haq ki is liye di thi
sada dahan mein tumhaari zaban rahe na rahe

main aaj is liye karta hun ehtiram apna
hamesha khud pe tumhaara guman rahe na rahe

usi ke ishq mein mit kar ke ho gae 'wasil'
sabaat usi ko hai apna nishan rahe na rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close