tashrif shab ko lana kyon aar jaante hain

tashrif shab ko lana kyon aar jaante hain
shayad ki aap hum ko bad-kar jaante hain

zulfon ke pech mein hum go jaante nahin kuchh
par sar patak ke apna man mar jaante hain

wahshat mein jo jo hum ne pathron se sar ko mara
sahra mein ja ke puchho kohsar jaante hain

afsos jin ki khatir yun khalq mein subuk hain
khatir ka apni hum ko wo yar jaante hain

ye bhi nasib-o-qismat gul khae jin ke gham mein
mahfil ka apni hum ko wo khar jaante hain

mutlaq nahin hai parwa sair-e-chaman ki 'ishrat'
hum dagh-e-dil ko apne gulzar jaante hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close